Kya aap bhi aapke Badhate Wajan se Pareshan hai. Kya aapko bhi kahi bahar jate motape ki wajah se uncomfortable Mahsus Hota hai. Agar haan to sabse jyada jaruri hai weight loss ke liye sahi diet lena. Agar aap khana sahi khaoge time scheduling se khaoge to aapka weight kabhi nhi badhega. To is blog main aapko breakfast se dinner tak ka Weight Loss Diet Plan in Hindi main butane ja rhi hu. 

To Chaliye sabse pahle main aapko btati hu ki konse foods aapko avoid karne hai weight loss karne ke liye aur kin cheejo par sabse jyada dhyan dena hai, Aaiye jante hai.

Foods To Avoid To Lose Weight-

Agar aap jaldi se jaldi apna weight loss karna chahte hai to aapko in sabhi cheejo ko bilkul avoid karna padega.

1- Aapko sugar bahut kam karni hai, Yaa ase kahe ki Sugar ko bilkul tyag dena hai.

2- Apne Khane main Oil ki quantity kam se kam rkhe.

3- Fast foods, Junk Foods, Oily, Alcohol, Cigerate ka sevan bilkul bhi naa kare.

4- Khane ko deep fry na kare.

5- Vegitables ka soup bhi weight loss main benefit deta hai.

Foods To Eat To Lose Weight-

Aap apne diet me in sabhi foods ko add kar lijiye agar jaldi se jaldi weight loss karn hai to. Kyoki yah foods aap regularly khate hai to aapka weight jaldi hi kam ho jayga.

1- Khana khane se pahle achhe se jyada se jyada paani piye.

2- Week main kam se kam 4 din Green vegitables, Palak, Turai, Lauki etc Shabjiyo ka sevan jarur kare.

3- Khane main Fiber ki quantity jyada rkhe.

4- Khana khate rahe khana bilkul chodna nahi hai.

5- Fruits ka sevan jyada se jyada kare.

Diet Plan Chart For Weight Loss In Hindi-

Ab aapko btate hai ki weight loss karne ke liye aapka diet chart kis type se hona chahiye jisse ki aapka weight jaldi se jaldi kam ho jaye.

To sabse pahle jante hai ki weight loss ke liye breakfast, dinner aur lunch main kya khaye. To Aapko apne diet main in cheejo ko karna hai add jaldi se apna weight loss karne ke liye-

1- Sabse pahle subah uthakar aapko kam se kam 2 glass gunguna paani jarur piye. Aur aapko Gungune paani ke sath thoda sa namak milakar Garare kare.

2- Uske Bad Breakfast main aap Daliya, Oats, Lamon water, Bread and milk, 2-3 Eggs bhi kha sakte hai.

3- Lunch main aapko 1 bowl rice, Salid, Daal, multi green aate ki 2-3 rotiya khaye.

4- Evening main low sugar tea, soup, chane, coffee and green tea ka sevan kar skate hai.

5- Dinner main aap vegitable soup, vegitable salid, 1 bowl papaya pieces, kha sakte hai. Agar aap Non-vegiterian hai to 2 leg piece le sakte hai. 

Is tarah se aap apne dincharya ka weight loss karne ke liye diet chart prepare karle. Aur regularaly follow kare. To 1 mahine ke anadar aapko fark saaf dikhne lagega. Agar aapko yah article aur plan to loss weight satisfied lagta hai to ise apne family, friends and social media par share kar sakte hai.

By Bhavana Sharma

Bhavana Sharma is an expert SEO team lead with a deep understanding of SEO, local SEO, and content optimization. With years of experience, she crafts SEO strategies that enhance search engine visibility and drive targeted traffic.