Shoping_ Word sunate hi sabhi ke face par ek smile aa jati hai. Kyoki shoping karna kisko pasand nhi hota hai. Khaskar tab jab Paise koi aur pay karne wala ho. Sahi kaha na ?? Lekin aaj kal online ka time hai aaj kal sabhi cheeje aapko ghar bethe online mil jate hai. Lekin uske liye aapko best apps ke bare mein pta hona jaruri hai. Kyoki online cheejo ke 75 % advantage hai to 25 % Disadvantages bhi hai. Bahut sare log fake apps bnakar fraud bhi karte hai. To Is blog ki help se me aapko Top 10 Shopping Apps in India ke bare me btane ja rhi hu. Jo Ki trustworthy aur most popular hai.
1- Amazon India-
Amazon India ek bahut hi famous shopping apps me se best hai. Jis par aapko cloths, grocery, decorating Items se leke electrical items tak sabkuch mil jata hai. Esliye iske logo me A se Z tak Arrow dikhaya gya hai. Kyoki Amazon India par A to Z Sab buy Kar sakte ho. Aur ghar bethe apne favorite cheje order karke manga sakte hai. Amzon India sabse different esliye bhi hai kyoki isme same day delivery ki service bhi available hai.
2- Flipkart-
Agar aapko affordable prices me kuch bhi buy karna hai. To Flipkart ek sabse best option hai. Aap Flipkart se ghar bethe sab kuch order karke manga sakte hai. Is par bhi aapko Grocery se leke elecrital items, Cloths, AC, TV, Cooler, Fan, Laptop, Mobile sabkuch discounted price ke sath bahut asani se mil jata hai. Flipkart India me sabse jyada use kiya jane wala trustworthy app hai.Flipkart par aapko lowest prices se highest prices aur brand to nonbranded sabkuch mil jata hai.
3- Myntra-
Myntra fashion, cloths, aur accessories ke liye sabse best shopping app hai. Myntra par aapko sabkuch bahut hi perfect aur mid prices me mil jata hai. Yah shopping app quality of products ke liye jana jata hai. Is pr aapko sabhi taarah ke branded items mid price me mil jate hai. Myntra ki security, delivery bahut hi jyada perfect hai. Agar aapko budget friendly price me cloths, makeup products, aur accessories buy karne hai to aap Myntra se hi kharide.
4- Meesho –
Meesho par aapko sabkuch bahut hi affordable prices me mil jayga. India ka sabse sasta shoping app Meesho hai. Meesho se aapko shoping karne ke liye jyada budget ki jarurat nahi hoti hai. Meesho par bhi aapko cloths, acccessories, home items etc bahut asani se mil jate hai. Yah ek small catering aur reselling app bhi hai. Meesho se aap apna business bhi kar sakte hai. Kyoki Meesho se aap products ko resale karke earnig kar skate hai. To agar aapko kam paiso me jyada shoping karni hai To Meesho par jaye.
5- Ajio –
Ajio Reliance-owned fashion or lifestyle shopping app hai. Ajio par aapko sabhi tarah ke braded items milenge. Agar aap high profile se hai aur celebrities cloths buy karna chahte hai. To Ajio aapke liye best option hai. Lekin Ajio par keval aapko cloths and lifestyle items hi mil sakte hai.
6- Snapdeal –
Snapdeal ek bahut hi safe aur budget friendly Online Shopping apps me se ek hai. Jaha par budget friendly products, including cloths aur home goods available hai. Snapdeal se shopping karne ke liye aapko prices ki tension lene ki koi jarurat nahi hai. Yaha par sabkuch bahut hi kam paise me mil jata hai. Aur yah Indian app hai. Aur iski customer service bhi bahut achhi hai. Agar aapko kabhi bhi koi issue hota hai. To aap customer se bat karke resolve kar sakte hai.
7- Nykaa-
Nykaa par aapko cosmetics, beauty products, aur personal care items budget-friendly price me mil jate hai. Yaha par sabhi prakar ke branded cosmetic products available hai. Nykaa only cosmetic, beauty products ke liye hi popular hai. Yaha par aap cloths accessories nhi buy kar sakte hai.
8- BigBasket –
BigBasket ek bahut hi popular and leading India’s online grocery application hai. BigBasket se aap kitchen ki koi bhi Grocery same day order karke manga sakte hai. Yaha par aapko bahut actual price me fresh Grocery items ghar bethe deliver ho jaynge.
9- Tata CliQ
A Tata Group venture electronics, fashion, aur lifestyle products ke liye jana jata hai. Wese iski popularity India me abhi utni jyada nahi hai agar others Mesho, Flipkart aur Amazon se compare kare to lekin haan yah bahut hi jyada user friendly aur low budget items and goods ke liye jana jata hai. To aap bhi electronics, fashion se related kuch online purchase karna chahte hai to Tata CliQ bhi ek best option hai.
10- Paytm Mall
Paytm wese to money transfer app ke liye jana jata hai. Lekin Paytm ki apni ek online shoping ki bhi service hai. Jisse aap discounted, cashback ke sath koi bhi goods and products online buy kar skate hai. Paytm India me bahut hi jyada popular app hai lekin isse shopping bhi kar skate hai yah thode kam log janta hai. To agar aap online shopping karke cashback pana chahte hai to Paytm se shopping kare.
To yah hai hmare top 10 shopping apps in India. Jo ki affordable aur achhi services aur fastest delivery ke liye jane jate hai. To aapko confuse nhi hona hai aur trusted app se hi shopping karni hai. Aur frauders se apne aapko bachana hai. Ase hi achhi Jankari ke liye aap Hindi Seeker par visit karte rahiye. Dhanyabad.