Rajasthan Ki Capital Jaipur Jise Pink City ke name se jana jata hai. Aur yah historical places ke liye bhi jana jata hai. Jaipur me aapko Forts, Park, and famous temple bhi dekhne ko milenge. Jaipur, India ka bhaut hi jyada beautiful and culturally rich city ke ke liye bhi jana jata hai. Aaiye aapko btate hai Top 10 Places To Visit In Jaipur ke bare me in Hindi. 

1. Amber Fort (Amer Fort)

Amber Fort (Amer Fort) Jaipur se 11 kilometere dur Amer area ki ek Pahadi par bna hua hai. Agar koi bhi Jaipur Ghumne aata hai to visiting list me sabse pahle Amer fort hi hota hai. Is fort me aapko Sheesh Mahal, Diwan-e-Aam, aur Diwan-e-Khas aur elephant ride ke liye jana jata hai.

Histrory- Amer Fort ki Neem Raja Kakil Dev ne 11th century me rakhi thi, Lekin usko complete Raja Maan Singh ne 1592 me Karwaya tha. 

2. City Palace

City Palace Raja Maan Singh ka dusra Sangralay aur Shahi Family ke Nivas tha. Yah Jaipur ke bilkul mid me bana hua hai. City Palace ko log Chandra Mahal, Mubarak Mahal aur Suraj Mahal ke liye bhi Jante hai. Yaha par Desh aur Videsh ke Parytako ki bahut Bheed rahti hai. City Palace ke musium me aapko Raja Maharajao ke purane jwellary, Kapde aur Hathiyar dekhne ko mil jaynge. City Palace ke Suraj Mahal me Bhagwan Govind Dev ji ka ek bahut hi Khoobsurat mandir bhi hai.

History- City Palace banane ke idea ek Sant ne Raja Uday Singh ko diya tha. Aur iski Shthapana 16th century me ki gayi thi. 

3. Hawa Mahal (Palace of Winds)

Hawa Mahal bahut hi khoobsurat Pink color ki walls, windows, waconies se bana hua hai. Wind Palace yani ki Hawa mahal dekhne ke liye desh videsh se lakho log aate hai. Yah Mahal bhi Jaipur ka most visiting jagah hai. Is mahal ki choti se aap pure shahar ka Najara Dekh sakte hai. Aur is Mahal ki ek Khas Bat yah bhi hai ki Yah Wina Neem ke khada hua hai. 

Histrory-  Hawa Mahal 1799 me Maharaj Sawai Pratap Singh ne Royal City palace ke vistar ke roop me banwaya tha. Iska Look ek Raj Mukut ke basis par rakha gya hai yah 5 manjil ka 953 Jalidar Khidkiyo se bana hua hai.

4. Jantar Mantar

Jantar Mantar ek Vedhshala hai, Jisme Khagoliya Pindo ki distance major karne ke liye 19 instruments lage huye hai. Aur Jantar Mantar ke mid me ek bahut hi big wall watch bhi lagi hai Jo dekhne Layak hai. Jantar Mantar me aapko koi activities ya palace bgera nahi milega yaha par aapko science se judi jankari hi milegi.

Histroy– Jaipur mein Jantar Mantar ka nirman Raja Jai Singh ne 1734 century me karaya tha. Aur yah city palace or hawa mahal ke pas hi padta hai. Raja Jai Singh dwara banawaya gaya yah Jantar Mantar UNESCO World Heritage Site me shamil hai.

5. Nahargarh Fort

Nahargarh Fort apne bahut hi Vishal aur Vistarit walls ke liye jana jata hai, Jo walls Nahargargh Fort ko Jaigarh fort se jodati hai. Yah fort bahut hi beautiful aur Arawali Pahadiyo ki choti par hai. Is fort ke top se aap pure Jaipur ka najar dekh sakte hai. Yaha ka environment bahut hi pure and beautiful hai. Ise Fort ki visiting timing subah 10:00 baje se sham 05:30 tak hai.

Histrory-  Nahargarh Fort ko Raja Sawai Jai Singh ne 1734 me banawaya tha. Aur Is Fort ka Nirman Jaipur ki safety ke liye kiya gaya tha. Aur bad mei yaha Shahi Family ke liye rest place bhi ban gya tha. 

6. Jal Mahal (Water Palace)

Jal Mahal ek esa mahal hai jo Paani ke beecho beech paani hua hai, Is mahal ke around me bas paani hi paani hai. Esliye ise Paani ka Mahal bhi kaha jata hai. Jal Mahala ko dekhne ka koi charge nahi hai, Aap subah 06:00 baje se sham ke 06:00 baje tak is mahal ko dur se dekh sakte hai. Lekin isme jana allowed nahi hai. Is Mahal ke andar jane par Government ne 2013 se rok lgadi hai.Esliye isko aap pas se nahi dekh sakte hai.Haan lekin aap iske around lake ke andar hi boating kar sakte hai.

Histrory- Jal Mahal ko Maharaja Madho Singh Pratham Ne Banwaya tha. Is Mahal ko Banwane ka Uddeshya Keval Battakh SHikar ke liye kiya gaya tha. Yah 1 Manjil ka mahal hai jiski 4 manjil Jal ke Andar aur 1 Manjil Jal Ke upar hai. 

7. Albert Hall Museum

Albert Hall Museum ko Central museum bhi kaha jata hai. Is hall me jab aap visit karenge to entry karte hi main gate par Mishra ki devi Sekhet ki Replica hai. Jo black granite se bani huyi hai. Mishra ki Mami par hollywood me kayi film ban chuki hai.IS tarah se is hall me aur bahut si Histrorical cheeje maujood hai.

History- Albert Hall ka Nirman Jaipur ke Tara aur Chandar name ke kaarigaro ne kiya tha. Ise banane me something 10yrs lage. Aur yah 1876 me Prince Alebert ke dwarabanawaya gaya tha.

8. Jaigarh Fort

Jaigarh fort Jaipur ka sabse khoobsurat fort me se ek hai. Yah Fort Jaiwana Top ke liye famous hai. Is fort me Jaiwana Top ke alwa Top Nirman ka KArkhana bhi shamil hai. Is Fort ko Vijay Fort ke name se bhi jana jata hai.

History- Is fort ko 1726 me Amer Fort ki safety ke liye Raaja Jai Singh ne Banwaya tha. Is fort me rakhi huyi Top Jaiwana Duniya ki sabse badi Top Hai.

9. Birla Mandir (Lakshmi Narayan Temple)

Birla Mandir Jaipur me Sthit ek bahut hi Aalishan LakshmiNarayan Mandir hai, Mata Lakshmi aur Bhagwan Vishnu ko samarpit yah mandir Moti Dungari fort ke pas bana hua hai. Yah Mandir Prachin Hindu mandiro me se ek White color ke Stones se bana hua hai.

Histroy- Birla Mandir 1988 me BM Birla Foundation dwara banwaya gaya tha. Yah complete white sangmaramar se bana hua hai. Pure Bharat me something 31 Birla Mandir hai.

10. Galtaji Temple (Monkey Temple)

Agar aap Jaipur me ghum hi rahe ho to aapko Galtaji Temple bhi jarur jana chahiye. Yah mandir Jaipur se 10km dur hai aur ise bandaro ka mandir bhi kaha jata hai. Arawali pahadiyo par bana yah khoobsurat mandir wakai dekhne layak hai. Isme Fresh waterfall aur 7 pure kund shamil hai. 

Histroy- Galtaji Temple ko bhi Raja Jaip Singh ne 16th century me banwaya tha ise Money Temple bhi kaha jata hai. Aur mandir ko Diwan Rao Kriparam ne banaya tha

Wese to Jaipur me aur bhi bahut sari jagah hai jo bahut hi special or beautiful hai lekin is blog me hamne Top 10 Places To Visit In Jaipur or historical places ki bat ki hai. Jo bahut hi famous 15th aur 16th century ki Dharohar hai. To agar aap bhi Jaipur ghumne ka soch rahe hai to yah hai Top 10 Places To Visit in Jaipur, Jab bhi aaye to in top places par jarur visit kare. 

By Bhavana Sharma

Bhavana Sharma is an expert SEO team lead with a deep understanding of SEO, local SEO, and content optimization. With years of experience, she crafts SEO strategies that enhance search engine visibility and drive targeted traffic.