SEO ka matlab hota hai “Search Engine Optimization”. SEO ek esi process hoti hai jiske help se aap apni business websites ko search engine me rank kara sakte hai. Jab aapki website search engine me rank karti hai to aap traffic milta hai. Aur traffic se aapko leads milte hai. Aaj kal aap kisi bhi business ke liye website bnakar apne business ko online pramote kar sakte hai. To aaiye jante hai SEO Kya Hota Hai, SEO ke types, aur importance kya hoti hai.
Search Engine Kya Hota Hai-
Search engine wo tool hota hai jis par ham internet ki help se kisi bhi prakar ki jankari prapt kar sakte hai. Agar hame kisi bhi cheej ke bare main janana hai to ham to ham apni query search ko denge aur wo us query se related answers websites ki help se provide karta hai.
India me sabse jyada jo search engine use kiya jata hai wo hai Google Crome.
Jab Aap koi bhi cheej Google par search karte hai to Google sabse best aur najdiki jankari dene ki koshis karta hai. To ham apne website ko Google ( search engine ) ke liye optimize karte hai SEO process se. Jisse ki jis cheej ki jankari ham apni website par de rhe hai usse related koi bhi user kuch search kare to use hmare dwara di gayi jankari Google ke dwara dikhaye jaye. Aur yah tab possible hai jab hmari website search engine ke first page par hogi. First page lane ke liye hame SEO Karna padta hai. To Jante hai SEO Kya Hota hai.
SEO Kya Hota Hai-
SEO ek esi process hai jiske through aap apne blog aur website ko Google (Search Engine) me first page par la sakte hai. Kyoki jab ham koi bhi cheej Google par search karte hai to jo results first page par dikhte hai unko hi priority dete hai. Un par hi visit karte hai unki information ko hi padhte hai.
Agar aapki site first page par rank karti hai to aapka organic traffic increase hota hai.
Google first page par un sites ko hi dikhata hai jinki speed, authority and information relevant aur achhi hoti hai. Aur jo fully google ki guidelines ke according optimize hoti hai. To kisi bhi website ko neeche diye gye 3 techniques se optimize kiya jata hai.
SEO Kitne Types Ka Hota Hai (Types Of SEO)-
To websites ko ham SEO ke 3 types ke through search engine ke liye optimize karte hai. Wo is prakar hai.
1- On Page SEO
2- Off Page SEO
3- Technical SEO
On Page SEO Kya Hai-
On page SEO main ham website ko optimize karte hai. Jo changes ham website ko optimize ke liye karte hai unhe On Page SEO bolte hai.
On page SEO me website ka keyword research and optimize, meta tags, heading tags, robots file, Page URL, Mobile friendly, website speed, Image text, google analytics and webmaster ko update kiya jata hai.
Off Page SEO Kya Hai-
Off page SEO me ham apni website ko dusro plateforms aur sites par promote kiya jata hai. Aur yah process basically link building kahalati hai.
Dusro ki website, plateforms, channels par ham apni website aur business se related profile create karte hai, Content submit karte hai aur usme ham apni site ka link lete hai. Backlinks kya hote hai iske liye aapko dusre blog me jankari mil jaygi.
Technical SEO Kya Hota Hai-
Technical SEO ke dwara ham apni website ki technally things ko optimize karte hai. Jisme hmare Sitemap, 404 pages, 301 redirections, SSL, broken links, Canonical issues, website load time and other backend issue ko fix kiya jata hai. Technical SEO ke bare me detail main jankari ke liye link par click karke detailed blog me ja sakte hai.
SEO Kyu Important Hai –
SEO kisi bhi website ko First page par rank karne ke liye bahut important hota hai. To chaliye kuch important points ko discuss krte hai.
1- Organic traffic increase hota hai.
2- Long term result rahta hai.
3- Website ki Authority badhati hai.
4- Trust ratio increase hota hai.
5- Website user friendly hoti hai.
Yah sare cheeje SEO karne se achhi hoti hai to aapki website Google me first page par asani se rank karti hai. I hope ab aapko SEO Kya Hota Hai, SEO ke types aur importance ki jankari mil gyi hogi.