OYO ki full form (On Your Own Rooms) hoti hai.  OYO ka name aate hi aapke Jahan me ek personal si feeling develop hoti hai. Aur ho bhi kyu na kyoki OYO rooms ki popularity couple friendly room ke basis par jo huyi thi, kyoki hmare country me couples ko room milna thoda tough tha, lekin ab OYO rooms one night stay ke liye best hote hai. To kabhi aap kahi bahar ghumne jate hai. Yaa fir apne partner ke sath akele time spend karna chahte hai. To OYO ek best option hota hai. Lekin Kya aap jante hai OYO ka malik kon hai. OYO rooms ka idea sabse pahle kisko aaya tha. Aur kaise isko market main laya gya. Chaliye ham aapko btate hai.

OYO Ka Malik kon hai ? ( OYO Owner )

OYO Rooms ke malik ka name Ritesh Agarwal hai. Ritesh ka janm 1993 main hua tha. Aur yah Udisha ke Rayagada Distict ke rahne wale hai. Ritesh India ke sabse kam age ke millionior hai. Inhone kam umar main hi achha khasa name business main kar liya hai.

Ab agar ham Ritesh(OYO Owner) ki family ki bat kare to unke Father Infrastructure Corporation ke sath kaam karte hai. Aur unki mother ek house wife hai. Ritesh ke 3 siblings hai.

Ritesh ne apna business 17 years ki age me start kar diya tha.Ritesh ne OYO start karne ke liye apna college bhi chhod diya tha. Aur apna pura focus business ko aage badhane main laga diya tha.

Ritesh ne 2012 me jab OYO ko launch kiya to uska name Oraval stays rkha. Jiska motive sirf aur sirf lowest price mai achha hotel room book karane ka tha. Ritesh ne is par kaafi research ki aur alag alag hotels me stay karke testing bhi ki. 

Fir Ritesh(OYO Owner) ne iska name Oraval stays se change karke OYO Kar diya. 

OYO Company Ke Bare Main Jankari-

OYO India ka sabse achha online Hotel Booking Platform hai. OYO par aapko bahut sare hotels me rooms ke option aapko mil jaynge. Kyoki is par 10 lacs se bhi jyada Hotels listed hai.

OYO Company naa keval India me balki yah abroad me bhi apna name kama chuki hai. OYO ki service aapko National aur international coutries me bhi mil jaygi.

OYO Rooms Book Karne Ke Fayde-

1- OYO par budget friendly aur achhe quality ke rooms aapko lowest price me mil jaynge.

2- OYO rooms ki booking ke liye local ID hona jaruri nhi hai. Aap koi bhi ID use krke room book kar skate hai.  

3- OYO Room aaap kahi visit par nikalne se pahle bhi Online booking kar skate hai.

4- OYO se room book karne par aapki details secure rahati hai. Koi bhi unknown person aapki details check nhi kar sakta hai.

5- Rooms ke bhut sare option available hai.

6- Easy check in check out service hoti hai.

OYO ko majorly couple friendly platform ke basis par pramote kiya gya. Kyoki India me couples ko rooms milne me thodi problem hoti hai lekin OYO ne ise asan bna diya. Aap sirf 3 clicks me 5 mins me apna room book kar skate hai.

By Bhavana Sharma

Bhavana Sharma is an expert SEO team lead with a deep understanding of SEO, local SEO, and content optimization. With years of experience, she crafts SEO strategies that enhance search engine visibility and drive targeted traffic.