Hello Dosto, Aaj me aapko btane ja rahi hu ki bahut hi tasty maggi 10 mins me kaise banayi jati hai. Kyoki Jab bhi hame kuch khane ka man hota hai aur kam time me kuch bnana hota hai to sabse pahle Maggi hmare dimag me aati hai.To yaha par me aapko bhut asan tarike se without bowl kare aur without Oil fry ke Maggi Banane Ki Recipe share karne ja rahi hu. 

Maggi Ingredients-

1- Maggi packet

2- 1 Tomato

3- 1 Onion

4- 2 Small cup water

5- Salt (Namak)

6- Red Chilli

7- Green Chilli

Maggi Kaise Banaye-

Sabse pahle aapko upar diye gaye sare ingrediants ko lena hai, Aur unke sath hi maggi banane ke liye 1 Kadhahi aur spoon ki bhi jarurat hogi. To chaliye start karte hai Maggi banane ki recipe hindi me.

1- Sabse Pahle Kadhahi me 2 cup paani dalkar use gas par rakhde.

2- Jab paani Thoda boil ho jaye tab usme aapko kate huye Onion (Pyaz) paani me dal dene hai.

3- 2 min tak Onion ko paani ke sath boil kare aur fir Tomato aur green chilli kate huye bhi paani me mix karde.

4- 2 min tak Gas ko medium flame par karke chood de.

5- Ab Aapko usme Salt(Namak) or Red chilli (Lal Mirch) apne taste ke according dalna hai. Aur usko kadhayi me mila dena hai.

6- Ab aapko Maggi packet se nikal kar use bhi kadhai me chote chote tukde karke dalkar mix kar dena hai.

7- Ab 3 min ke liye medium flame par pakne de.

8- Uske bad aapko Maggi masala upar se dalkar achhe se kadhai me mila dena hai.

9- 2-3 mins ke liye Gas ko low flame par karke chood de.

10 – Aapki maggi Ready hai. Aap Garma Garm Maggi kha sakte hai.

To aap bhi jaldi jaiye aur banaiye maggie in just 10 mins, Aur apni pet pooja kijiye. Esi asan recipe aapko kahi par bhi nhi milegi to aap ise apne lazy dosto ke sath bhi share kar sakte hai agar unko bhi maggi ki bukh lagti hai to. Unko aap bol skate hai ki yah Maggi banane ki recipe sabse alag hai. Aur haan agar aap Rajasthan se hai to yah Dal Baati Churma Recipe bhi try kar sakte hai.

By Bhavana Sharma

Bhavana Sharma is an expert SEO team lead with a deep understanding of SEO, local SEO, and content optimization. With years of experience, she crafts SEO strategies that enhance search engine visibility and drive targeted traffic.