Keyword stuffing ek esi wrong prakriya hai Jise log apne website content me use karte hai apni websites ko rank karane ke liye.Keyword stuffing se ho sakta hai aapki website raking me aa jaye. Lekin jese google usko deeply analyse karega to aapki website ki ranking down ho jaygi. Aur fir aapki website kabhi bhi rank me nahi aaygi. Jab tak ki aap content ko delete karke fresh content publish nahi kar dete.
Chaliye aapko btate hai What is Keyword stuffing in Hindi aur isse aapki website par kya asar padta hai.
Keyword Stuffing –
Keyword stuffing means aap apne target keyword ko ya usse related phrases ko apne content me jyada se jyada use kar rahe hai. Ise Keyword Stuffing kahate hai. Keyword stuffing ka use karke search engine ko dhokha deke bahut sare log apni website ko top ranking me lane ki koshish karte hai.
Example- Agar aapka koi keyword hai “Buy cheap running shoes online” aur aap is keyword ko apne content me bar-2 use karte hai.
“Looking to buy cheap running shoes online? Our store offers the best cheap running shoes online. If you want to buy cheap running shoes online, visit our cheap running shoes online store now! Buy cheap running shoes online for men, women, and kids. Don’t wait—buy cheap running shoes online today!”
Logo ke ase dhokhe se bachne ke liye Google apni algorithms ko update krta hai. Keyword stuffing ke trick ko fail karne ke liye Google ne 2011 me Panda Algorithm ko update kiya tha. Jisse usne jo log stuffing karke rank me aa gaye the unki website ko deindex kar diya tha. Deindex matalb google serach page se remove kar diya tha.
Esliye hamesha stuffing ko ignore karna chahiye. Kyoki agar aap Keyword stuffing karenge to aapko bas loss hi hoga.
Esliye pahle SEO ke bare me thik se jane uske bad hi apni site aur content ko optimize kare.
Bloggers Keyword Stuffing Kaise Karte Hai-
Bloggers wese to google ko Bewkoof banane ke liye bahut sare techniques ka use karte hai. Jisme se ek Keyword Stuffing hai. To Bloggers Keywords Ki stuffing kaise karte hai wo jan lete hai.
1- Visible Keyword Stuffing- Jab Kisi target keyword ko content me bar-bar use kiya jata hai. Aur content ko read karne par pata chalata hai to user ko content read karne me interest nahi aata hai. To users aapki site ko switch kar jate hai.
2- Invisible Stuffing- Invisible stuffing backen se ki jati hai isme blogger keywords ko white kar dete hai jisse wo content me use to kiye jate hai. Lekin user ko dikhayi nahi dete hai. Lekin Google ki najaro se nahi bach pate hai.
Keyword Stuffing Website Ranking Par Kya Asar Dalati hai?
Jyadatar new bloggers apne blog ko jaldi se monetise karne ke chakkar me wina research kiye stuffing kar dete hai. Lekin usse unko hi Loss jhelna padta hai. Kyoki galat kaam kitne bhi sahi tarike se karlo wo galat hi hota hai.
To aaiye ab jan lete hai ki Keywords stuffing aapki ranking aur website par kya asar dalati hai.
De-Indexing- Aapki website jese hi crwal hogi aur usme crawler ko stuffing milegi to aapka content same time search engine page se hat jayga yani ki de-index ho jayaga.
Ranking Down- Keyword stuffing black hat SEO me count ki jati hai. Black Hat ko khatam karne ke liye hi Google hamesha apni algorithms ko update karte rahata hai. Jese hi algorithm update hogi aapki website ki ranking hero se zero ho jayegi. Lekin agar aapne user friendly aur meaning full content likha hua hai to aapko algorithms se darne ki koi jarurat nahi hai.
Bad User Experience- Users jab aapke content ko read karega aur usme aapne stuffing ki huyi hai. To obious hai ki aapke sentences meaningful nahi ho paynge. Aur jab content meaningful nahi hoga to user aapki site se quit kar dega aur kabhi bhi visit karna pasand nahi karega.
Penalty Facing- Agar aap apni site par jo bhi content dal rahe hai sabhi me stuffing karte ja rahe hai. To aapko panlty face karna padega. Isme Google aapke domain ko hamesha ke liye blacklist kar dega.
Aapko hamesha keywords stuffing ko avoid karna hai. Aur user friendly, meaningful content write karna hai. Isse aapki site kabhi panalize nahi hogi aur user ka trust develop hoga. Keywords stuffing ko always avoid karna hai. Ummid hai aapko what is keyword stuffing ke bare me jankari mil gayi hogi. Hmari site par visit karne ke liye Dhanyabad.