Karwachauth: Pujan Vidhi, Importance, Timing Aur Story

Karwachauth Pujan & Kahani

Karwachauth hindu mahilayo ke liye bahut hi aham festival hai. Kyoki is din sabhi suhagin striya apne apne Husbands ki lambi Aayu ke liye pure din vrat karti hai. Aur karwachauth mata se apne pati ki lambi aayu ke liye kamna karti hai. Karwachauth ka matlab wese to Karwa means Mitti Ka Bartan, chauth means Chaturthy. Esliye karwachauth ke din mitti ke bartan ka ek khas importance hota hai. 

Day aur Timing:

Karwachauth 2024 mein Sunday, Oct 20, 2024, 6:46 AM – Mon, Oct 21, 2024, 4:16 AM ko manaya jayega.

  • Karwa Chauth Puja Muhurat: 6:23 PM to 7:45 PM
  • Karwa Chauth Upavasa Time: 7:56 AM to 7:39 PM
  • Chaturthi Tithi Begins: 3:16 AM on October 20, 2024
  • Chand Timing: 7:54 PM 

Karwachauth Pujan Vidhi:

Agar aapki shadi ho gayi hai to aapko karwachauth vrat jarur karna chahiye. Kyoki is vrat ki manyata suhagin striyo ke jeevan bahut mayne rakhti hai. Aaiye ab aapko btate hai Karwachauth ki Pujan Vidhi-

1- Karwachauth wale din aap Suryoday se pahle uthakar vrat karne ka sakalp le.

2- Uske bad Saasu maa ke dwara di gayi Sargi- sabji puri, sweets, fruits aur paani grahan kare.

3- Uske bad sasu maa se ashirwad le. Yaad rahe ki sargi khane ke bad aap aur kuch bhi nahi kha sakte hai.

4- Sham ke samay Shree Krishna aur Shiv Family ki sthapana kare. Aur unka pujan kar bhog chadaye.

5- 1 mitti ka karwa le aur us par swasthik banaye. 

6- Karwe me dudh, rose water, Gangajal dalkar rakhe. 

7- Ab Karwachauth ke kahani sune aur chalani se chand ko dekhkar argh dekar pujan kare.

8- Pati ki arti karke unke charan sparsh karke unke hath se jal piye. Aur apna vrat complete kare.

9- Karwachauth ke din sabhi striya ek dulhan ki tarah ready hoti hai aur solah shrangar ki bhait karti hai.

Karwachauth ki kahani:

Aaiye ab karwachauth ki sahi aur purane samay se chali aa rhi kahani padte hai. 

Sabse pahle aapko btadu ki Karwachauth kartik mass ki chaturthi tithi ko manayi jati hai. Bahut samay pahle ki bat hai ek sahukar ke 7 bete 7 bahuye aur 1 veeravati name ki kanya thi. 7 bhaiyo ki eklauti bahan bahut jyada ladli thi. Jab veeravati vivah yogya huyi to uski ek sahukar ke bete ke sath shadi kardi gayi. Hinduyo ke niyam ke anusar shadi ke bad ke sabhi festival sabhi ladkiya apne mayke me hi manati hai.

Kartik mass aya to Veeravati ke bhaiyo ne bhi veeravati ko mayke bulwa liya. Veeravati ne apni 7to bhabhiyo ke sath vidhi anusar karwachauth ka vrat rakha. 

Pura din bhukh se vyakul veeravati sham ko chand ke niaklne se pahle hi vesudh hokar jamin par gir gayi. Jab yah bat uske bhaiyo ko pata chali to unke bahan ki yah halat dekhi na gayi.

Aur unhone bahan se khane ki jid ki to veervati ne pati ke liye vrat ko karna uchit samjha. Jab Bahan nahi mani to uske bhaiye ne ek yojana banayi aur ek bhai ek pipal ke ped (tree) par ek thali me deepak rakhkar chad gaya. Aur waki ke bhaiyo ne aakar veervati se kaha ki bahan chal argh deke vrat khol le chand nikal aaya hai.

Veeravati uthi aur jakar ke argh de diya. Argh dekar veervati jese hi khana khane bethi aur pahla nivala toda to chhek aa gayi. Fir jese hi dusara nibala nikala to khane me baal aa gya. Aur jese hi teesra nibala liya ki Sasural se khabar uske pati ki is duniya me naa hone ki khabar aa gayi.

Ab veeravati roti bilkhati sasural pahuchi to saas ne tana mara ki Kalmuhi sahi se vrat nahi kar payi jisse mere bete ki jaan chali gayi. Ab veeravati ne karwachauth mata se vinati ki hey Maata mujhse esi kya galati ho gayi jiska fal mujhe yah mila hai.

Tab Indrani yani karwachauth mata prakat huyi aur usse kaha ki tune wina chand dekhe karwachauth ka vrat khol liya usi ka yah fal mila hai. Veeravati ko yah jankar bahut paschatap huyi aur mata se vinati ki ab me kya karu jisse mere pati fir se jeevit ho jaye.

Tab mata ne kaha ki ab tujhe pure 12 mahine ke sabhi chauth ke vrat pure man aur siddhat se karne padenge. Jisse tera pati fir se jeevat ho uthega. Veervati ne apne pati ka antim sansakar nahi karne diya aur uske shav ke pas bethkar uski dekhbhal karne lagi. Aur sathi 12 mahine ke sabhi karwachauth ke vrat puri siddhat se pure kiye aur fir se kartik ki karwachauth aayi aur maa karwachauth ki krapa se uska pati fir se uth khada ho gaya. 

Is prakar se Veervati ne apne suhag ko fir se maa karwachauth ki krapa se paa liya. Jo pahle aayi wo kisi ko naa aaye aur jo duji aayi wo sabko aaye aur sabhi ko mata ka ashirwad prapt ho lambi aayu prapat ho.

Is prakar se kahani sunne ke bad chand ko argh dekar pati ka chehra chhalni me dekhkar arti karke apne se bado ka ashirwad leke vrat ko pura kare.

By Bhavana Sharma

Bhavana Sharma is an expert SEO team lead with a deep understanding of SEO, local SEO, and content optimization. With years of experience, she crafts SEO strategies that enhance search engine visibility and drive targeted traffic.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *