Aaj kal Instagram kuch jyada hi popular ho gaya hai, Jis kisi ke pas bhi mobile hai uske Mobile me Instagram na ho esa possible hi nahi hai. Lekin kuch log Instagram ka use bas dusro ki reels ko scroll karne ke liye karte hai. To kuch log Instgram se paise bhi Kama rahe hai. Kya aap janana chahte hai ki Instagram se paise kaise Kamaye in Hindi to hmare is blog ko jarur padhiye.
Professional Account Banaye-
Instagram se paise kamane ke liye sabse pahle aapka account profesiional hona bahut jaruri hai. To aap apne account ko normal account se professional account me switch kare.
Apne account ko Normal se professional banane ke liye aapko in steps ko follow karna hai.
Step 1- Apna Instagram Account login Kare, Login karne ke bad right hand side me menu me Setting and Privacy par click kare.
Step 2- Aapko yaha par Account Type & Tools ka option milega, Us par click kare.
Step 3- Ab aapko Switch to professional account ka option milega.
Step 4- Jab aap switch to professional par click karenge to aapko 2 options milenge. Creator Account & Business Account.
Step 5- Agar aapka personal account hai to Creator Account par click kare, aur agar aapka business account hai to Business account par click kare. Ab save kare.
Is tarah se aapka profesional account ban jayga, Aur aapka Instgram se paise kama sakenge. Agar Aapke followers and views achhe aa rhe hai. To aap bade bade brands ke sath bhi kaam kar sakte hai. Uske liye aapko apne account ko Monetize karna padega. To Instgram account ko monetize kaise kare iske liye aap next blog me padenge.
Instagram Se Paise Kaise Kamaye-
Instagram se jab paise kamane ki bat aati hai to aapke man se pahle yah khayal aata hai ki hmare to followers kam hai. To mein aapko btadu ki Instagram se paise kamane ke liye aapko only 100-10,000 followers hona jaruri hai. Jo ki har kisi ke hote hi hai. To Chaliye one by one aapko Instgram se paise kamane ke tarike btate hai.
1- Brand Promotion –
Aaj kal sabse jyada aur asan tarika hai Instagram se paise kamane ka wo hai Brand promotion. Jab aap Instgram par kisi 1 category ko choose kar lete hai, aur usi se related videos dalte hai, To us category se brand aapse apne brand ya products ka promotion karwate hai. Aur uske liye wo aapko bahut achha amount pay karte hai.
Example- Jese aap shopping ke video’s dalte hai to jo best shopping spps in India hai like Meesho, Flipkart, Amazon wo aapse apne products ka promotion karaynge aur uske liye pay karenge.
2- Reels Bonus –
Instagram itna jyada popular ho gaya hai Tiktok band hone ka bad ab sabhi creators Instagram par aa gaye hai. To Instragram ne ab reels ko bhi monetize karna shuru kar diya hai. Wese Reels monetize ka option sabhi creators ke pas nahi hai, Lekin dheere dheere yah processing me hai. Reels bonus ke through aap 5000 doller tak kama sakte hai.
3- Refer and Earn –
Jab aap Instgram par kuch different karte hai. Yaa kuch naya hota hai to chances hote hai ki aapki reel jaldi viral ho jaye. Agar aapki reels viral ho jati hai to aap refer and earn wale aaps ka apni reels me promotion karke bhi paise kama sakte hai. Uske liye aap apne reels me us app ya brand ke bare me btaynge aur uska link Bio me attach kar skate hai.
4- Instagram account ko sell kare-
Aaj kal bahut sare influncers aur creators bahut sare instagram account create kar lete hai. Jese aapne dekha hoga ki celebrities aur jo bade influncers hote hai unke similar hi bahut sare accounts hote hai. Aur un par bhi achhhi khasi following hote hai. To ase hi aap bhi Instgram account create karke following hone ke bad use achhe khase paiso me sale kar skate hai.
Lekin aapke pas ek se jyada account hai aur aap unko deactivate ya delete karna chahte hai. To is blog ko follow kare- Instagram Account Delete Kaise Kare
5- Affiliate Marketing-
Affiliate marketing me aapko branded E-commerce websites par jana hai aur unke affiliate program ko join karna hai. Join karne ke bad aapko unke products ko apne profile par share karna hai. Jab koi aapki profile par listed products par click karake buy karta hai to aapko un sites se commission milata hai.
To Yah kuch tips hai jinko follow karke aap bhi asani se ghar bethe Instgram se paise kama sakte hai. Agar aapko instgram se related aur bhi jankari chahiye ya fir collabarate karna hai. To Mujhe https://www.instagram.com/bhavana.sharma21/ par DM kar sakte hai. Aur follow kare.