Agar Aap apne Instagram account ko delete krne ki soch rhe hai, to ek bar fir se soch lijiye kyoki Instagram aaj kl naa keval Entertainment ke liye popular hai. Aap Instagram se earning bhi kar sakte hai. Instagram earning tips hm aapko next blog main btaynge. Lekin fir bhi agar aapke pas ek se jyada Instagram account hai aur aap delete karna chahte hai to in steps ko follow kare.

Android Mobile Main Instagram Delete Karne Ka Tarika-

Agar aap Instagram account Android mobile se delete karna chahte hai. To in Steps ko follow kare.

Step 1- Sabse pahle apna Instagram Account Login Karle. Aur apni profile par click kare.

Step 2- Uske bad aapko right hand side main “More Options” Par click karna hai.

Step 3- Now, aapko “Settings and privacy” Ka option dikhega us pr click kre.

Step 4- Ab aapko “Account Center” ka option dikhega, us pr click krna hai

Step 5- Then aapko “Personal Details” Main Jana hai. 

Step 6- Personal details par click karne ke bad aapko “Account ownership and controlKa option dikhega. Usko click kare.

Step 7- Uske bad aapko 2 options dikhenge “Memorialisation” And “Deactivation and Deletion” Aapko 2nd option par click karna hai.

Step 8- Then aapko Delete account par click krne ke bad “ Continue” par click krna hai. 

Step 9- Ab aapko bahut sare reason options dikhnge ki aap apna account kyu delete kar rhe hai. Aap ek option select kare. Iske bad aapko again Password pucha jayga. Apna password dal de.

Step 10- Ab apka account delete ho jayga. 

Yah hmne aapko android mobile se instagram delete krne ke bare main btaya hai. Ab aapko btate hai ki Iphone main Instagram account kaise delete kare.

iPhone Main Instagram Account Delete Karne Ka Tarika-

Ab aapko btate hai ki iphone se instagram account ko kaise delete kr sakte hai. To iPhone se Instagram ko delete karne ke liye aapko in steps ko follow karna hai.

Step 1- Sabse pahle apna Instagram account login kare. Aur Profile Icon par click kare.

Step 2- Uske bad Right Hand Side ke top corner par 3 lines Settings and activity par jane ke liye click kare.

Step 3- Uske bad aapko First option dikhega”Account Centre” us par click kre.

Step 4- Account centre main jane ke bad aapko ek option milega “Personal Details” ka us pr click krna hai.

Step 5- Then aapko “Account ownership and control” par click karn hai.

Step 6- Again aapko 2 options dikhenge “Memorialisation” And “Deactivation and Deletion” Aapko 2nd option par click karna hai.

Step 7- Deactivation and Deletion par click kare

Step 8- Ab agar aapke iPhone main 1 se jyada account login hai to jis account ko aap delete karna chahte hai us profile par click kare.

Step 9- Jab aap profile par click krenge to 2 options dikhnge “Deactivate Account” And “Delete Account” Agar aap temporarily apna account delete krna chahte hai to first option “Deactivate Account” select karke “Continue” Kare. 

Aur Agar aap Permanently Apna account deactivate karna chahte hai To “Delete Account” select karke contnue kre.

Step 10- Apna Password dale. Uske bad aapko reasons ke options milenge ki aap kyu apna account delete karna chahte hai. Koi 1 reason select karke submit kare. Ab aapka account delete ho jayga.
To yaha par hmne Instagram account temporarily and permanently android and iPhone se kaise delete kare step by step step btaya hai. Ummid karte hai aapko apki jankari in Hindi main mil gyi hai. Is type ki aur bhi jankari ke liye site par visit karte rhe. Dhanyabad.

By Bhavana Sharma

Bhavana Sharma is an expert SEO team lead with a deep understanding of SEO, local SEO, and content optimization. With years of experience, she crafts SEO strategies that enhance search engine visibility and drive targeted traffic.

One thought on “Instagram Account Delete Kaise Kare”

Comments are closed.