Cricket aaj ki generation ka sabse favorite game ban chuka hai. Aaj kal ke bachhe games ke mamale me Cricket ko sabse jyada pasand karte hai. Sabse pahle international test cricket 1877 mein khela gya tha. India me cricket 18th century me European Yatchers ke dwara laya gya. Aur National cricket team ne apna pahla cricket match 25 June 1932 ko Khela tha. Aaiye Cricket ke bare mein important cheeje discuss karte hai.
Cricket ke Bare me Important Baate-
1- Jesa ki ham sabhi jante hai ki Cricket ek esa Khel hai jisme 11-11 players ke 2 team hote hai. Aur dono teams ke alag-alag captain aur sub-captain aur ek wicket keeper hote hai.
2- Cricket khelne ke liye aapko Ball, Bat aur 3 stumps yani ki Wicket ki jarurat padati hai.
3- India Me Sabse pahla cricket club Kolkata me 1792 me banaya gaya tha.
4- Is khel ko sirf ladke hi nahi Ladkiya bhi khelti hai.
5- Cricket aaj kal kayi tarah se khela jata hai jese Test Cricket, One Day, IPL, T20 etc.
6- Cricket ke total 42 rules hote hai, Jisme har rule ke apne points hote hai jo alag cheejo ke liye bane hai.
7- Cricket ka hindi name “Gol Gattam Lakad Bhaggam De Dana Dan Pratiyogata” Hai.
8- India ke sabse pahle Ballewaj ka name Janardan Navale Tha. Jinhone 1932 se 1933 tak 2 test match me participate kiya tha.
9- Ranjeet Singh ko Indian Cricket ka Father mana jata hai.
10- India ka sabse great batsman Sachin Tendulakar Ko mana jata hai. Unke bad Virat Kohli aur Mahendra Singh Dhoni ka name aata hai.
11- Indian National Cricket Team ne 1983 World cup, 2007 T20 world cup, 2013 ICC Champions Troffy apne name ki thi.
12- Aur Yah world records Ex- Caption Mahendra Singh Dhoni ki Captaincy ke dauran banaye gaye hai.
To aapko is blog ke madhyam se Cricket ke bare mein important jankari in Hindi mein mil gayi hogi. Agar Cricket aapka favorite game hai to yah sab cheeje aapko pata hona bahut jaruri hai. Aur bhi sports ke bare jankari prapt karne ke liye hmare site par visit karte rahe.