Bhaidooj bahan bhaiyo ke pyar aur sneh ka festival hai, jo Goverdhan pujan ke agle din manaya jata hai. Is din behne apne bhaiyon ke lambi umar aur sukh-samriddhi ke liye puja karti hain aur bhai apne behno ko sammaan aur pyaar dete hain. Is tyohar ke piche ek purani aur pramukh kahani judi hai, jo kuch is prakar hai:

Surya Dev Ke Santaan Yama aur Yamuna Ki Kahani

Ek samay ki baat hai, Surya Dev ke do santaan the – Yama aur Yamuna. Yamuna apne bhai Yama se bahut prem karti thi aur aksar unhe apne ghar bulaati thi, par Yama apne kaamon mein vyast rehte aur uske yahaan nahi aa paate the. Yamuna baar-baar apne bhai ko bulane ka nimantran deti thi, par Yama har baar kisi na kisi kaaran se unka nimantran nahi le pate.

Ek din Yama ko apni behan ki iccha ka ehsaas hua aur wo usse milne ke liye uske ghar pohonch gaye. Apne bhai ko dekh kar Yamuna bahut prasan hua aur usne apne bhai ka swagat kiya. Usne Yama ko achhe se bhujan khilaya, unki aarti ki aur unke sukh-samriddhi aur lambi umar ke liye prarthana ki.

Yama, jo mrityu ke devta hain, apne bhai-behan ke is prem aur shraddha ko dekhkar prasan ho gaye. Unhone apni behan se kaha ki aaj ke din jo bhai apni behan ke ghar jaayega aur uske haatho se tilak aur aarti karega, uski lambi umar hogi aur wo saari mushkilon se door rahega.

Tab se har saal Diwali ke doosre din Bhaidooj ka tyohar manaya jata hai. Is din behne apne bhaiyon ko tilak karke unke sukh-samriddhi aur acchi sehat ki prarthana karti hain aur bhai unhe uphaar dete hain aur apne behno ki raksha karne ka sankalp lete hain.

Ye kahani Bhaidooj ke tyohar ke piche ke sacche prem aur bhakti ko darshati hai. Is din ka mahatva yahi hai ki bhai-behan ke rishte mein pyaar aur samman bana rahe.

By Bhavana Sharma

Bhavana Sharma is an expert SEO team lead with a deep understanding of SEO, local SEO, and content optimization. With years of experience, she crafts SEO strategies that enhance search engine visibility and drive targeted traffic.